Posts

Showing posts from December, 2018

samundar ye teri Khamoshiya kuchh aur kahti hain

Poet : Khusbir Singh Shaad samundar ye teri Khamoshiya kuchh aur kahti hain magar sahil pe TuuTi kashtiyan kuchh aur kahti hain  hamare shahr ki ankhon ne manzar aur dekha tha  magar akhbar ki ye surkhiyan kuchh aur kahti hain ham ahl-e-shahr ki khavahish ki mil-jul kar rahen lekin  amīr-e-shahr kī dilchaspiyāñ kuchh aur kahtī haiñ Bht dinon see mere baam  o dar ka hisa ha Meri tarah ye odasi b Ghar ka hisa ha Fr oske baad hawa aur oska rahmo karam Abi talak ye pata shajar ka hisa ha .. Zaroor dil see koi rabta ha ankhon ka Issi liye to laho chasme Tar ka hisa ha Ye tera taaj nahi ha hamare sir ki pagdi ha Ye sir ke saath hi otre gi...sar ka hisa ha Na Jane saad Tere samaj main kab aye ga  Ab zameer farooshey  hunar ka hisa ha