samundar ye teri Khamoshiya kuchh aur kahti hain
Poet : Khusbir Singh Shaad
samundar ye teri Khamoshiya kuchh aur kahti hain
magar sahil pe TuuTi kashtiyan kuchh aur kahti hain
hamare shahr ki ankhon ne manzar aur dekha tha
magar akhbar ki ye surkhiyan kuchh aur kahti hain
ham ahl-e-shahr ki khavahish ki mil-jul kar rahen lekin
amīr-e-shahr kī dilchaspiyāñ kuchh aur kahtī haiñ
Bht dinon see mere baam o dar ka hisa ha
Meri tarah ye odasi b Ghar ka hisa ha
Fr oske baad hawa aur oska rahmo karam
Abi talak ye pata shajar ka hisa ha ..
Zaroor dil see koi rabta ha ankhon ka
Issi liye to laho chasme Tar ka hisa ha
Ye tera taaj nahi ha hamare sir ki pagdi ha
Ye sir ke saath hi otre gi...sar ka hisa ha
Na Jane saad Tere samaj main kab aye ga
Ab zameer farooshey hunar ka hisa ha
Comments
Post a Comment